Tuesday, January 31, 2012

Hamzad evocation for all Elements عمل ہمزاد برائے چہار مزاج

Dear readers today I am sharing a very secret ritual of hamzad with you. Many of you already read this ritual in book Shama e Shabistaan, but in fact the ultimate secretes of ritual are not written there. The repitition manner of "Ya Lateef" is also mentioned wrong. The naqsh is also wrong there. I did not wanted to show this secret ritual on blog but this is explained to save Muslim from mistakes liable in that particular books.
The ritual you should recite is as under:

یا لَطِیفُ تَلْطُفْتَ وَاللُطفِ فی لُطفِ لُطُوفِکَ یا لَطِیفْ

You have to recite it 3125 times daily for 40 days.



TARKEEB:

Is amal keliy sab se ehmm bat ye he ke har mizaj ka shakhs isay kar sakta he halaanke bazahir ye baadi amal he jafr ka, is amal ka khas ul khaas raz bhi yahi he ke kesay is amal ko mizaj ke mutabiq dhaala jata he, yeni ek atshi ya aabi mizaj ka admi is se kesay faida utha sakta he, wazifa ke adaad abjid e qamri se 1709 banty hain (book me ye bhi ghalt likhy hain) sab se pehly ek white paper pe in adaad ka naqsh e murabba pur kia jay, jab tamam naqsh pur ho jay to chaal ke mutabiq jo naqsh ka khaana number 16 tha usko black kar diya jay. rat ke waqt charagh ki roshni me ya din ko bhi kar sakty hain ye apki apni sahoolat ke lihaz se he, us black khaany pe nigah jama ke 3125 bar wazifa ko dohrana he, nazar isi jagah rahy, paper 4" ho lenghth and width me, tamam khaany barabar hony chahiyin, yeni har khaana ek inch lamba or ek inch chora hoga, jis kamra me amal kia jay bilkul pak saaf ho or siway amil ke or koi dakhil na ho. agar esa kamra available na ho to din ke waqt kisi bilkul tanha jaga jo abaadi se door ho wahan ja ke amal kia ja sakta he magar jaga or waqt ki pa bandi har soorat karni ho gi, parhez e jilali wa jamali dono karna hon gy ya kam az kam parhez e jamali to lazmi kia jay. sab se pehly hamzad ki shakal usi black khaany me zahir ho gi, lekin jab tak samny aa ke kalam na kary ap ne kalam nahin karna, mudat or tadaad dono poori karny ke baad hi kalam kia ja sakta he. amal ke doran hisar sirf badni kia jay ga ayat al kursi 11 bar parh ke, bakhoor loban, google, hing, pipal gard hoga.

NUKTA OR RAAZ:

Is amal ko darj book me do jagah mention kia gya he, dono jagah amal ki ibarat darust nahi, writer ne isay amal e khaas parda e raaz se mosoom kia, yeni writer amal ki ehmiat se agah tha or us ne khufia baatain khufia hi rakhin yeni amal ko phir bhi parda e raaz me hi rakha, jin logon ke paas ilm tha unhon ne yaqeenan partaal ki ho gi or samjh gay hon ge ke adaad e isma ghalt likhy hain magar jo mehz shaiqeen thy woh yaqeenan amal kar ke nakam rahy hon ge, mera nukta e nazr ye he ke ya to koi amal siray se bataya hi na jay or agar bataty hain to usky tamam tar nukaat ayaan kiy jain takay har shakhs faida utha saky, or agar tamam nukat na batana hon takay sirf wahi faida uthay jo waqai ilm rakhta ho to sath likh dia jay ke tamam nukat se parda nahi uthaya gya takay koi bhi admi karny se pehly tamam nukat ko ya to jaan le ya phir nukaat ka pata na chalny pe amal ka qasd na kary.  writer ne atshi chaal ka murba pur kar ke day diya, or woh naqsh bhi ghalt adaad se pur kia gya he or ye koi printing error nahin, or agar ye naqsh darust bhi likha hota to bhi sirf wahi log kamyab ho paaty jin ka mizaj atshi tha, ab atay hain asal nukta ki taraf, is amal me nukta ye he ke ap ne sab se pehly apna mizaj dekhna he ab jo bhi ap ka mizaj ho ap ne naqsh usi chaal se likhna he,  maslan agar kisi ka nam tariq he to sar e ism harf se taba maloom ki to atshi hui lihaza tariq name ke admi ko naqsh atshi chaal se bharna ho ga. Jo naam nihaad naqaal  amilin mizaj ki karri shart ratti rattai char books parh ke har amal me aid kar ke  logon ko amliyat  se mehroom rakhty hain unhain chahiy ke is amal ko ghor se dekhain ke kesay ek jafr ke amal ko mizaj ke mutabiq dhaala jata he, ye to jafr ke murawja asoolon me se he ke baz oqat nam e taalib o matloob me ansri mukhalfat hoti he, maslan ashiq ka mizaj atshi he or mashooq ka mizaj aabi, to jafr, naqoosh or najoom ke mutabiq hargiz hargiz amal kamyab na hoga chahy kitna hi zabardast amal kiun na parha jay qk unky namo me hi mizaji dushmni he (qk atish o aab me mukhalfat he).... , yeni agar name talib for example tariq atshi he or mehboob kalsoom (aabi) he to ek atshi he ek aabi, nukta ki ru se donon namo ke darmiyan muhabbat ka amal nahi kia ja sakta qk ansri mukhalfat he to kia is ka ye matlab he ke esi soorat me in dono keliy muhabbat ka amal siray se kia hi nahi ja sakta? in name ke do bando me muhabbat o ulfat peda nahi ki ja sakti?  Hargiz nahi, esay moqon pe name ke haroof ko agay pichay kar ke kam lia ja sakta he isay TAKSEER E ANSRI kehty hain to agar amal me tariq ki bajay qarit, ya qatra name bana dia jay yeni qaaf ko pehly le ay taakay sar e ism aabi ho jay to dono aabi ho jainn ge or ansri mukhalfat khatm ho jay gi, or agar ye na karna chahain to name ke haroof se madkhal kabeer, waseet, sagheer waghera le ke un se haroof bana ke bhi istemal kia ja sakta he, ye nahin kaha ja sakta ke chunke in namon me ansri mukhalfat he isliy in do insano keliy hub ka amal nahin ho sakta, jo log is nukta se agah nahi hon gy nakam hon gy har bar chahy jitni bhi zabardast azeemat waza kar ke parhain. Isi tarah se agar shagird ko ye kaha jay ke ye amal e hamzad sirf baadi mizaj ka admi kar sakta he or koi nahi or usay ek baad chaal ka naqsh ratwa diya jay ke agay esay hi muntaqil karty raho to isay bukhl kaha jay ga. Yahi waja he ke me hamesha qurani amal ki talqeen karta hoon qk jafr or najoom ki bareekiyan samjhny me zara si bhi ghalti hui to mehnat barbad jay gi, jab qurani amliat me esi sharait hain hi nahi to un pe hi amal pera hon. Ek bar phir wazeh kar doon ko woh tamam amiat jin me jafr, najoom,naqoosh or alwaah ka istemaal nahi hota or sirf ayat e qurani ya ismay ilahi istemaal hoty hai unhain har mizaj ka admi kar sakta he or jo jafr o najoom ke amliat hain jo log un ke tamam tar qawaneen se waqif hoty hain woh amal ko kisi bhi mizaj me dhalna jaanty hain.
Enter your email address:


Delivered by FeedBurner

UMMAR

Author & Editor

Astrologer, Spiritualist.