Monday, February 6, 2012

DAWAT E ISMAY HUSNA

Aj ap par woh raz zahir karny ja rahy hoon jisko ulma ne hamesha akhfa me rakha, dunia ki kisi kitab me apko ye tafsil nahin milay gi, behtar he ke is post ko apni hard drive me save kar lain.Dawat e Ismay Husna ke bahot se tariqay amliat ki books me darj milty hain, sabhi darust hain, magar ek talib e ilm ko ye ilm nahi hota ke usay kis tariqay pe amal karna chahiy, qk   zakwat ke kai tariqay raij hain jo shakhs jis tariqay pe amal karay ga usi ke mutabiq hi usay taseer o fawaid hasil hon ge, Aksar log zakwat ada karty hain phir bhi shikwa karty hain ke taseer zahir nahi hoti, woh log ye kehny me apni jagah haq bajanib hoty hain magar ye bat poori trah se darust nahi, dar haqiqat ulma ne haroof or isma ki qawwi taseer se kam leny ke tariqon ko hamesha raz hi rakha, kisi ne poocha to bata diya ke 40 din me sawa lakh parh lo zakwat ada ho jay gi, or naqaal amilin ne is triqay ko harf e akhir samjh ke be dharak har kitab me chaap dala bina jany ke is tariqa e zakwat ki efficacy kia he? Talib ilmon ko yahi bataya ke isi ko zakawt e akbar kaha jata he, kuch ulma ne kaha ke kisi ism me jitny haroof hon utni hazar bar 40 yom tak parha jay, kisi ne kaha ism ke adad nikal ke haroof se zarab day ke jo tadaad ay woh 40 yom tak wird ki jay, magar is zaman me kisi ne lab kushai na ki ke kis tariqay se kis darja taseer zahoor ho gi ya aya is qism ki zakwat ki tajdid ki zaroorat to nahi? Isi tarah kuch kutab e jafr me bhi ek 7 yom ka tareeqa e zakwat darj hota he magar bukhl ki waja se is ko bhi mukamal ayan na kia gya, yad rakhiy makhfi aloom itna kitabon me nahin hoty jitna ke seenon me pay jaty hain, Ap tamam Muslims bhayion se darkhwast he ke jo bhi is post se faida uthay mery haq me zaroor dua e khair karay.
Ab asal mozoo ki taraf atay hain,

1: 40 din me parh ke sawa lakh poora karny se zakat e saghir ada hoti he, ye amal zindgi me sirf ek bar kam deta he, kutab me likha he ke ye zakawt e akbar he magar ye darust nahin, jin sahiban ne is tariq e kar se zakat ada ki ho gi woh khood tajrba kar ke dekh sakty hain, isliy esay tamam amliyat jin me 40 din me sawa lakh poora kar ke hamzad ki hazri ka amal kia jata he amal ke poora hony pe ek bar hamzad zaroor samny ata he, agar amal poora ho or muaida qarar pay to thik warna usay azadi mil jati he or esay amliat jin me tadad bahot kam hoti he ya kam dino ke hoty hain un me aksar mudat poori hony pe hamzad hazir nahi hota., kisi bhi amal e taskhir keliy ye tadad kafi samjhi jati he. ye zakat kisi or ko mutaqil nahi ki ja sakti.

2: Aksar kutab e jafr or amliat me zakwat ki 7 din me adaigi ka tariqa e kar darj he, jo ke hasb e zail he:
kisi bhi ism me jis qadar haroof hon unko hazar bar shumar kia jay e.g; Lateef me 4 haroof hain to 4000 bar hua isko 4 se zarb di to 16000 hua ye nisab kehlata he, pehly din ba niyat e nisab 16000 bar parha jay ga, iska nisaf 8000 zakwat kehlata he, ye tadad dusray din wird ki jay gi, phir zakwat ka nisf 4000 hua ye ashar kehlata he teesray din ashar ki niyat se 4000 bar wird ho ga. phir iska bhi nisf kia 2000 hua ye chothay yom ka wird hua isay qafl kehty hain, phir 5th yom ko dor e mudawar ki tadad wird ki jaygi jo ke nisab ke barabar ho gi. 6th yom bazil 7000 parha jay ga or 7th yom khatm ki niyat se 1200 bar ism ka wird ho ga, bazil or khtm ki tadad yahi muqarar he, yeni jis ism ki bhi zakwat ada ki jay 6th or 7th yom yahi tadad ho gi. tafsil is naqha me dekhain,


Lekin ye zakawt kahan kam day gi kitna kam day gi is baray me khamoshi, or is ke agay ka kia procees he is pe bhi khamoshi he. Ye zakwat e saghir he, zindi me sirf ek bar kaam day gi, iskay bad waseet, asghar, akbar, kabeer, kabair or akbar e kabair ka tariq kia he is pe aj roshni dali jay gi.

1: ZAKWAT E SAGHIR:

kisi bhi ism me jis qadar haroof hon unko hazar bar shumar kia jay e.g; Lateef me 4 haroof hain to 4000 bar hua isko 4 se zarb di to 16000 hua ye nisab kehlata he, pehly din ba niyat e nisab 16000 bar parha jay ga, iska nisaf 8000 zakwat kehlata he, ye tadad dusray din wird ki jay gi, phir zakwat ka nisf 4000 hua ye ashar kehlata he teesray din ashar ki niyat se 4000 bar wird ho ga. phir iska bhi nisf kia 2000 hua ye chothay yom ka wird hua isay qafl kehty hain, phir 5th yom ko dor e mudawar ki tadad wird ki jaygi jo ke nisab ke barabar ho gi. 6th yom bazil 7000 parha jay ga or 7th yom khatm ki niyat se 1200 bar ism ka wird ho ga, bazil or khtm ki tadad yahi muqarar he, yeni jis ism ki bhi zakwat ada ki jay 6th or 7th yom yahi tadad ho gi. Ye zakwat zindigi me sirf ek bar kam day gi, yeni agar ksi ne is tariq e kar se ism e Allah, Lateef ki zkwat ada ki ho to woh is ism se sirf ek bar kam le sakta he, yeni agar woh is ism ka koi naqsh waza kary ga or usky nichy azimat ba muakil likh ke muakil ism ko hukm day ga to ek or sirf ek bar muakil us jaiz sharai kam ko karny ka paband hoga bashrt ye ke naqsh asool o zawabit se likha gya ho. Doosri bar taseer zahir nahi ho gi.
2: ZAKWAT E WASEET:

Zakwat e waseet hamesha Zakwat e sagheer ke bad ada ki jati he, saghir ki tarah waseet bhi 7 yom me mukamal ho sakti he farq sir tadad ka hoga, yeni woh tadad jo ham ne zakwat e saghir keliy nikali thi usay ek bar phir haroof se zarb di jay gi, misal keliy ism Lateef ka chart diya gya he jis din ki tadad ziyada ho usay 7 ya 14 yom me taqseem kia ja sakta he.. Zakwat e waseet ke bad madavmat or tajdid dono zaroori hain, jis qamri mah me zakwat ada ki gai thi ainda sal usi qmri mah me doobara ada karna ho gi agar ada na ki gai to is nay saal me ism se kam nahi lia ja saky ga. ksi or ko ijazat nahi di ja sakti. lekin agar koi isky bad ki zakwat e Asghar ada kar day to phir usay tajdid e zakwat ki zaroorat ainda sal nahi ho gi. yeni ek sal tak ism se kam lia ja sakta he, tajdid kar di to asar baqi rahy ga tajdid na ki to sal bad amal kam nahi day ga.

3: ZAKWAT E ASGHAR:

Zakwat e Waseet ke ada karny ke bad ek sal ke andar andar zakwat e asghar ada ki ja sakti he, ya agar koi sal ke akhir me zakwat e waseet ki tajdid karta he to woh bhi zakwat e asghar ada kar sakta he, jo shakhs tjdid e zakwat na kary or sal guzar jay usay phir zakwat e saghir se shuroo karna hoga, zakwat e asghar bhi 7 yom me ada ho sakti he, zakawt e asghar ka hamil dusray ko ijazat day sakta he magar phir zakwat dusray ko muntaqil ho jay gi khood saheb e taseer nahi rahy ga. iski tajdid 2sal ke andar andar ki ja skti he magar madawmat zaroori he. triqa e kar wahi rahy ga ke zakwat e waseet ki tadad ko ek bar phir haroof se zarb di jay gi.jisn din ki tadad ziada ho usay 7,14 ya 21 dino pe taqseem kia ja sakta he.

4: ZAKWAT E KABEER:

Zakwat e Asgar ada karny ke do sal ke andar andar zakwat e kabeer ada kar sakty hain, jo koi zakwat e kabeer ada kary ga usay phir tajdid ki zaroorat nahi rahy gi, hamesha hamesha amal se taseer zahir ho gi, magar jis ko ijazat day ga khood khali hath reh jay ga, madawmat zaroori ho gi Tareeqa e kar wahi rahy ga ke zakwat e asghar ki tadad ko ek bar phir haroof ki tadad se zarb di jay gi. ye zakwat poori zindgi kam day gi, jis din ki tadad zaya ho us ko 7,14,21 ya 28 dino me taqseem kia ja sakta he, iam e Ilahi Lateef se misal di gai he.

5:  ZAKWAT E AKBAR:

Jo shakhs zakwat e Kabeer ka hamil ho jab chahy zakwat e akbar ada kar sakta he, zakwat e akbar ada karny ke bad jis ko marzi ijazat day, chahy ek ko ijazat day chahy hazar ko, apni zakwat bhi barqrar rahy gi is maqam pe pahuch kar marhla asan ho jata he ab tadad me kami waqi ho gi, is bar zakwat e kabeer ki tadad ko taqseem kia jay ga haroof ki tadad par, or ye zakwat e akbar tadad me zakwat e asghar ke barabr ho gi. misal keliy chart dekhain, jo tadad ziyada ho woh 7,14,21,28 ya 35 din me taqseem ki ja sakti he, tajdid ki zaroorat nahi, madavmat lazmi he.

6: ZAKWAT E KABAAIR:

Zaklwat e Akbar ka hamil jab chahy zakwat e kabir ada kar sakta he, is maqam pe pahnch ke amal ki taseer saif e zubaan ho jati he, mehz chand bar wird karny se hi taseer e kamil ka zahoor ho ga, tariqa e kar mazeed asan he, zakwat e akbar ki tadad ko phir haroof pe taqseem kia jay ga, ye zakwat tadad me zakwat e waseet ke barabar thehry gi. tajdid ki zaroorat nahi lekin madawmat lazim ho gi, kisi din ki tadad ko, 7,14,21,28,35 ya 42 din me taqseem kia ja sakta he.

7: ZAKWAT E AKBAR E KABAAIR:

Zakwat e kabair ka hamil apni zindgi me jab chahy zakwat e Akbar e kabaair ada kar sakta he, is zakwat ke ada karny ke baad na to tajdid e zakwat ki zaroorart rahy gi or na hi madawmat ki, is bar zakwat e kabaair ki tadad ko phir haroof ki tadad pe taqseem kia jay ga pas ye zakwat tadad me zakwat e saghir ke barabar thehry gi.

UMMAR

Author & Editor

Astrologer, Spiritualist.