Saturday, December 17, 2011

HAMZAD KE JAFRI QAWANIN

Is post me main jafr or hamzad ka apas me jo taluq he us pe bahes karoon ga, or mujhay yaqin he ke ye tamam nukat or batain pehly bhi apky ilm main hon gi qk ye taqriban har ek amliat ki kitab me likhi hain or ye alif bay to ap sab rujoo e hamzad waghera me hi parh chukay hon ge, magae mera maqsad yahan nukta ki baat ko wazih karna he or isi liy kaha jata he ke 100Rs ki book se ap hamzad hasil nahin kar sakty. or bahot jald Insh Allah wo nukat byan kiy jain ge jo aam kutab e amliat me nahi milty or na sirf jafr se hamzad ki azimat waza karna sikhaya jay ga balke digar kai mustanad or sirri qawanin ka akhfa bhi kar diya jay ga...Jafr ka ilm qdim tar he, ye ilm Hazrat Musa(A.S)ke dor me urooj pe tha, isky tamam tar amliyat shuru me Torah par mushtamil thy. najoom or jafr ka apas me bahot gehra taluq he jafr me najoom ke qawanin se bhi kam lia jata he yeni saad o nahs, kawakib etc. amilin e jafr ke nazdik har harf ki ek khas taba he yeni atshi, badi, khaki ya aabi. or unke nazdik jab hamzad ka aml jafr se kia jay to ye dekha jay ke nam ke sar e ism harf ki tabaa konsi he, jesi taba ho wesay hi amal ka intikhab kia jay. yeni atshi mizaj wala sirf atshi mizaj ka amal kary or badi mizaj wala sirf badi amal hi kary, magar jis shakhs ka mizaj khaki ho woh koi bhi amal kar sakta he, hukmay jafr ke nazdik har naqsh bhi 4 qism ka he atshi badi aabi ya khaki or usi tarh jis shakhs jka jo mizaj ho wahi mizaj uskay hamzad ka hoga, yeni atshi taba ke amil ko atshi amal karna hoga or uska hamzad bhi atshi hi ho ga. isliy jafr ke ulma ne hamzad ke amliat ko 4 aqsaam me taqsim kia he
ATSHI HAMZAD:
Is amal me aag ko buniadi ehmiat hasil he, charagh jala ke amal kia jata he or ulma e jafr ke nazdik is amal se jo hamzad hazir hoga uski taba bhi atshi ho gi.
BAADI HAMZAD:
Hawa ko ehmiat he saya pe nazar dal ke asman ki taraf dekhny se jo amal kia jata he us se badi hamzad masakhar hota he.
AABI HAMZAD
Pani ke kinary ya pani me aks dekh ke amal kia jata he
KHAKI HAMZAD
Zameen par beth kar or koi bhi amal parh ke maslan ayat ya ism ya jantar mantar hamzad ko hazir kia jata he., esay amal aabi kehlaty hain or hamzad bhi aabi taba ka zahir hota he.
yeni hamzad ke jafr ke lihaz se 4 qism ke amliat hain or hamzad bhi 4 hi aqsam ka hua.
sahoolat keliy amilin ne atshi, badi, khaki or abi haroof ko yakja kar ke jumlay waza kiy hain jin se sar e ism taba akhaz karny me sahoolat he
اھطمفشذ                    آتشی 
بوین صتض                  بادی
جزکس قثظ                     آبی
دحل رخغ                     خاکی

IKHTILAF:
 Ab amilin e jafr ka taba ya mizaj akhaz karny pe bhi ikhtilaf he baz ulma sar e ism se akhaz ki gai tabaa ko muassar manty hain baz ke nazdik ye motbar nahi, kuch ulma kehty hain ke nam ke har harf ki tabaa dekhen or jo harf ghalib ho woh taba mani jay gi, magar meri ray me sar e ism taba behtar he qk jafr ka taslim shuda qaida he ke atish o baad me ulfat nahin, or jab esay do ashkhas me mhbt peda karni ho jin ki tabaa yeni mizaj me mukhalfat ho to nam ke haroof ko palat ke jafr me istemaal kia jata he taakay mukhalfat khtm ho jay yeni agar pehly nam ka pehla harf atshi tha to ab baadi ya khaki ko pehly likh lia. jafr ke is qanoon ke istemal ko takseer e ansri kehty hain
NUKTA:
Is me nukta ki bat ye he ke agar ap ne jafr se hamzad ka istakhraj kar ke amal karna he to apko apni taba ke hisab se amal karna hoga. yeni ye shart sirf jafr ke amal ke sath he, qurani amal ke sath hargiz hargiz hargiz nahin. or quran ki ayat e muqaddisa in 4 anaasir ki qaid me nahin, or agar koi esa samjhta he to usay chahiy ke kisi alim e deen se ray hasil kar lay.  wassalam

UMMAR

Author & Editor

Astrologer, Spiritualist.