Saturday, January 7, 2012

HAMZAD KELIY IJAZAT

Aksar sawal kia jata he ke ijazt kis se hasil ki jay? ijazat ki zaroorat kiun he? Kis qism ke amliat me ijazat ka lena na guzeer he? woh konsay amliat hain jo bina ijazat ke nahin kiy ja sakty? Ijazat leny ka faida kia he? Ijazat leny ka kia tariqa e kar he? 
Ijazat do qism ki he buniadi tor pe, ek aam amliat keliy or ek aamale taskheer keliy. aam amliat keliy ap sirf usi shakhs se ijazat lain jo us amal ka khood amil ho, mehz us shakhs ke ijazat deny se hi ap amil ho jain ge kisi chila kashi ki zaroorat nahi pary gi. maslan agar koi shakhs ism WAHAAB  ka amil he us se ap ijazat lety hain, to ijazat milty hi ap amil ho gay, ap se bhi usi taseer ka zahoor hoga jo ke us shakhs se hota tha, ab agar wo admi jis ne apko ijazat di us ne ism WAHAAB ki zakaat e akbar ada ki hui thi to ab woh bhi amil he or ap bhi amil hain, lekin agar us ne zakwat e asghar adaa ki hui thi to us ka amal apko muntaqil ho gya ab woh ism wahab ka amil nahi raha lekin aap amil ho gay. isliy ap logon ne mushahida kia hoga ke koi bhi khaas dam ya wird kisi bhi admi ki pusht dar pusht chalta rehta he, yeni jo taseer bap daada ko hasil thi wohi agli nasal ko muntaqil ho jati he or koi chilla kashi bhi nahin karni parti. lekin masla ye he ke aj ke dor me logon ne khood kisi ism ya ayat ki zakwat ada nahi ki hoti lekin logon ko ijazat day rahy hoty hain, to yad rakhain jab bhi ijazat lain kisi qabil e etmad shakhs se ijazat hasil karain. agar ap ne ijazat li or taseer ka zahoor nahin hua to samjh lain ke jis se ijazat li he woh khood bhi amil nahi tha, lehaza sirf usui shakhs se ijazat lain jis ki zaban ki taseer ap pe ayaan ho.
Doosri qism he taskheer ke amal keliy ijazat leny ki, us ki 2 aqsaam hain ek kisi esi chiz ki taskheer jo sab logon keliy aam ho or ek esi chiz jo kisi khas shakhs ke sath makhsoos ho, pehli qism me ham misal lety hain "SAREENI PARRI" ki taskhir ki, to is ki ijazat ap ko sirf or sirf wahi shakhs day sakta he jis ke pas ye parri masakhar ho agar esa shakhs ijazat day to kamyabi yaqini or pehly chily me hi kamyabi ki guaranty he lekin esa shakhs na mily to bar bar chila kashi kar ke hi manzil hasil ki ja sakti he qk is amal ke amil ne agar kisi ko ijazat di to ghulam parri pe ye lazim ho jay ga ke woh us shagird ke amal me zahir ho esi ijazat mil jany se murshid jo shart chahy laga sakta he jo shart chahy fot kar sakta he, yeni murshid ki marzi ke shagird se gosht ka parhez karway ya na karway dono hi soorat me kamyabi ho gi  sirf sahheb e nisab hony keliy shagird ko mehz wazifa ki muddat or tadad poori karna ho gi, agar woh shagird amal me khof kha jay to nuqsan bhi nahi uthay ga, lekin jis ne ijazat hasil nahi ki us ne tamam parhez bhi karny hain or usay nuqsan ya rujat bhi ho sakti he or ye bhi zaroori nahi ke pehly chillay me kamyab ho..



zamana e qadeem se hi  ye chala aa raha he ke jab koi bhi khas jin ya khas mukil kisi ki ghulami me hota to woh nahin chata tha ke is quwat ka malik koi or bhi ho is liy ye chizain raaz rakhi jatin or sina ba sina taleem ki jati thin us dor me ijazat denay waly mustanad log thy ye or bat ke wo sirf apni aulad ko ya kisi intihai qabil e etmad or mukhlis shagird ko mudaton khidmat ke bad ijazat dety.. 
Taskheer ki Doosri qism he esi chiz jo kisi khas shakhs ke sath makhsoos ho iski misal ham hamzad se lety hain, hamzad har shakhs ka apna he, kisi shakhs ki zingi me koi or shakhs na to usky hamzad ko hazir kar sakta he na hi koi kam le sakta he. hamzad har admi ka apna he ab agar ap kisi esay shakhs se ijazat lain jo khood amail e hamzad ho to bhi apko chila kashi karni ho gi, apka murshid ap ke kisi parhez ya kisi bhi shart ko fot nahi kar skta qk apky samny apky hamzad ne hazir hona he usky ghulam hamzad ne nahin,yeni ap ko woh tamam ki tamam mushkilat uthana hon gi jo ke kisi bhi shakhs jo bina amil e hamzad ki ijazat se amal kary ko uthany parti hain, ap ko sirf or sirf itna hi faida ho ga ke ap se ghalti hona bahot mushkil hoga jab ke mehz kahin se amal parh ke kar leny waly admi se ghalti ka imkan ho ga.lekin iska ek or khoobsoorat pehloo bhi dhayaan me rahay ke misal ke tor par agar ap chahty hain ke ap Allah ke name LATEEF se hamzad ko hazir karain to agar ap kisi esay shakhs se ijazat lety hain jo is ism ka amil ho to jab ap is ism se hamzad ka amal karain ge apki zabaan se woh taseer zahir ho gi ke ap khood bhi dang reh jain ge, isi liy ye bat bar bar kahi jati he ke koi bhi amal ho usy 3 chillon tak kia jay qk bina ijazat amal karny se aksar oqat pehly chily me taseer zahir nahin hoti to jab doosra or teesra chila ata he to musalsal tark e fawahish ki waja se or pehly chily ya chilon me nisab ki tadaad poori ho chuki hony or zakat adaa ho jany ki waja se taseer jari ho jati he or amal kamyab ho jata he.Yad rakhain ke kisi shakhs ke kisi esay daway ko mat tasleem karain ke woh amil e hamzad he, agar koi esa dawa karta he to ye dawa hi usky jhoota hony ka byyan saboot he, esay makaar, jhooty logon se har waqt hoshiyar rahin, dunia me amilin e hamzad ki kami nahi, me ne khood kai amilin e hamzad ko marty dekha he kai ke sath raha or faiz paya magar un me se kabhi kisi ne esa dawa nahi kia, jab bhi ap me se koi shakhs taskheer e hamzad me kamyab hoga usay khood andaza ho jay ga ke ye raz kitna qimti he or isky zahir kar deny se kia ho ga.. amil e hamzad se karamat ka zahoor bhi mumkin he isliy hamesha hi woh log jinho ne is murad ko paya khail tamasha or logon ko khail tamashay dikhany se ijtinab barta. razdari awalin shart he doran e amal bhi or bad me bhi, hata ke agar kisi ko shak guzarta he ke ap ke qabza me hamzad he to koi lakh poochay ap nahin bata sakty.
hamzad ka jo bhi amal ho ap bina ijazat kar sakty hain lekin us me kamyabi ka tanasab sirf isliy kam hoga ke ap se koi ghalti na ho jay, esa bilkul ghalat he ke bina ijazat ap hamzad ka amal nahi kar sakty.  agar ek chila me taseer zahir na ho to doosra karain or agar dil me khof ho to har juma ke din hasbe e isteta`t 10,20,30 rupees sadqa kar dain ya amal se pehly prindon ko roti ke choty choty tukry bhi khila sakty hain ya koi bhi mithi chiz chiyuntiyon ke bil ke pas dal dain. yad rahy quran e kareem ki koi bhi ayat ya Allah ka koi bhi name kisi khas shakhs keliy nahi ye sab muslims keliy hay har shakhs faiz hasil kar sakta he sirf or sirf waqt ziada sarf ho ga mehnat ziada karna pary gi. umeed karta hoon ke ijazat ke mutaliq ap ke zehen se sawal khatm ho gay hon ge phir bhi koi sawal ho to main hazir hoon, or kabhi bhi kisi esay shakhs pe bharosa mat karain jo ijazat ke naam pe aap se pesay maangay ya sadqa ke bahany raqm ka mutalba kary . sadqa khood apny hath se adaa kar dain, ksi insan pe nahi Allah pe tawaqal rakhain or phir kalam Ullah ki taseer dekhain.
ye bhi bata doon ke hamzad ke amal me zakat ki zaroorat nahi hoti jo mushkil or pooray 40 din ke amliat hain un me 40 din poora hoty hi zakat ada hoti he or hamzad ham kalam hony pe majboor hota he aksar esay amliat me 3125 bar rozana parh ke 40 din me 125000 bar poora karna hota he esay amliat aksar ek hi chily me kamyab ho jaty hain agar koi nakam hota bhi he to isliy ke woh qurani amal karta he to sharai mamnooat se moo nahi morta ya shetani or sifli amal karta he to khuda ko yad karta rehta he duain mangta he tilawat kar leta he waghera, me ne hamesha is bat pe zor diya he ke jis qism ka amal ho ap ke ooper wesi hi pa bandiyan hoti hain, ye kabhi nahi ho sakta ke ap amal to shetani karain or kam islami karain ya amal to qurani karain or kam shetani. esi soorat me kamyabi ki umeed rakhna mahez khoosh fehmi he.
NUKTA:
amilin kehty hain ke nay chand se amal shuru karain agar ek chila me hamzad hazir na ho to phir nay chand se doosra chila shuroo karain ye bat bilkul darust he esa kia ja sakta he magar me is se guraiz ki talqin karta hoon or mera ye nazriya he ke amal musalsal kamyabi tak jari rakha jay qk jab amal tark kia jay ga to baqi sharait ke tark hony k sath sath ye bhi mumkin he ke gher sharai afaal bhi sadir hon or naya chand any se pehly hi amil kisi fahesh ya makrooh ya haram kaam ki waja se pichla amal hi zaya kar bethay. isliy yahan me ap sab hazrat ko bata doon ke choonke musalsal 3,3 chilay karna bahot mushkil he lihaza agar ap chahty hain ke doosra chila nay chan me shuroo karain koi masroofiyat bhi aa sakti he to nay chand me jitny din bhi baqi hon ap utny din agar qurani amal kar rahy hain to buraiyon se lazim ijtinab bartain or thora bahot wird bhi karty rahain chahy chalty phirty hi kar lain, or agar sifli ya shetani amal tha to agar amal ke doran napak rehna tha ya gandy kam karna thay to ab bhi neki se door rahain, isliy munsib ye he ke sifli amal awal to kia hi na jay lekin agar karna he to musalsal karain takay kam se kam din tak gunah allood hon.

Hamzad ke shaiqeen keliy meri hamesha koshish rahi ke books or jo bhi qabil e bharosa data available ho pesh kia jay, ek site share kar raha hoon kafi mufid pain ge, khas tor pe woh ahbaab jo kash al barni ke shaiq hain.
VISIT ME

UMMAR

Author & Editor

Astrologer, Spiritualist.