Wednesday, December 14, 2011

KUCH AHAM BATAIN & REPLY TO NOOR MUHAMMAD

Asallam O Alaikum, kuch din pehly is blog pe jo comments liy gay uskay bad me ne fesla kia tha ke is blog ko band kar dia jay qk kuch log nahin chahty ke unkay jhoot ka pol khola jay, Magar jo log kuch sikhna or waqai jan,na chahty hain unki emails or requists ki waja se blog ko again jari kia. tanqid ko me welcome kehta hoon magar jahil or behooda logon keliy is blog me koi gunjaish nahi, ek bhai Noor Muhammad ne sawal kia to mery jawab se shayad wo poori taraah mutmain nahi huy unka doosra sawal ye he,


ASLAM-O-ALAIKUM JANAB UMAR SAHIB ap kay jawab ka shukeria ap jawab tou dia mager sirf meray 2 swalon ka mager eik swal ka jawab ubi bi baqi hai mai ap sy pucha tha kay NASMA kisay kehtay hain zera tafseel sy jawab dain.Ap nay har cheez ko yaksar ghalt-ul-aam ker dia hai hazrat mujhay yea batain kay siftay ekhtiraaj kesay kertay hain amal ka or raja-ul-gaib sy kia murad hai? or neechay kuch afaaz likh raha hn unn ka kia matlab hai

enn alfaaz ka tafseel sy jawab dain
NOOR MUHAMMAD

کلمن،حطی،قرشت سعفص 

Mohtram agar ap ne ye sawalat apny ilm me izafa keliy kiy to yaqinan apko bahot faida hoga or agar sirf meri ilmi qabliat jan,nay keliy to in jawabat se apka bhala nahin hoga  sirf in kalmon ki haqiqat pe me agar likhnay bethoon to poori kitab tasnif ho skti he magar yahan bas utni hi bahes karoon ga jitni apky ilm me la kar me gunah gaar na banoon.beharhal jawab hazir e khidmat hay, takay or hazrat bhi faida utha sakain.ye jo apny 4 kalmay likh ke bhejay hain ye 4 nahin 6 hain or jo 4 ap ne likhay hain unki bhi tartib darust nahi likhi, pehly ap ko amliat me inki haqiqat bata hoon, in haroof ki tartib se abjid qamri banti he or inhi ki tartib se pata chalta he ke biltartib konsa harf atshi, badi, khaki or abi he, wo 6 kalmay ye hain,
ابجد ہوز حطی کلمن سعفص قرشت
lekin amliayat me 7 or baz oqat 8 kalmay istimal hoty hain yeni inkay ilawa or bhi hen us pe bad me bahes karoon ga pehly inki haqiqat khol doon, amilin kehtay hain ke ye ke arab bashinday ibn e marra ke 8 beton ke nam thay kash al barni ne amil kamil awal me isi taraf ishara kia magar ye safaid jhoot he or baz kehty hain ke ye ibtidai 6 jumlay madin ke badshahon ke nam hain, ye bhi man gharat bakwas he,kash al barni ne amil kamil awal me likha ke yahood jafaar ibtida me pehlay sirf inhi 6 jumlon se kam lety thay magar unki malfoozi surat kia thi me nahi janta or mujhay us ke mutaliq kisi kitab me ser hasil bahes nahin mili. leken jahn tak mukhtlif aqwal se natija nikal sakta he woh urat ye ho sakti he,
ابجد  ھوزح طیکل منسع فصقر شتث
Or mujhay qasam he Allah ki zat ki ke ye bhi jhoot he, agar ap abjid ka naqsha utha ke dekhain to whan bhi haroof is tartib pe nahin likhay, asal 6 kalma kia hain or ek or kalma kahan se aya ye me apko batata hoon,
mohtam agar duniya ka ek amil bhi ye raz bata day to mera khoon ap pe muaf he, haan albata agar ap kisi alim e deen se poochain to hazaron alim e din apko inki haqiqat bata dety, magar masla yahi he ke aj musman alim e din ke pas nahin jata nam nihad or jahil amilon ke pas jata he, to suniy:

 Hazrat Zahaak Bin Mazahim Razi Allah se rawayat he Ke Allah ne zamin O asman ko 6 din me takhliq kia or har din keliy ek nam muqarrar he or woh ye hain, ابجد، ہوز حطی کلمن سعفص قرشت 

imaam ibn e jarir tibri ne yahi rawayat apni tarikh e islam bab awal jild awal me darj farmai or Hafiz Ibn e Kasir ne apni kitab albadaya wal nihaya me isi ka hawala dia, yeni ye un 6 dino ke nam hain jin me Allah ne takhliq e Kainat farmai, mujhay ek amil bata dain jis ne apni amliyat ki kitab me ye bat likhi or kash al barni ne to yahan tak keh dia ke me ne in kalmon ki malfoozi soorat dhoondi magar mujhay kahin nahin mili, halanke ye malfoozi soorat to hamri tarikh ki kitabon or quran e majid ki tafsir ki kutab me aam mil jati he. Ek or Sahabi e Rasool Hazrat Abdullah Bin Abbas (R.A) se unkay shagird عطا ne rawayat kia,

"Allah ne din ko peda kia or uska nam AL Ahad rakha phir doosray din ko peda farmaya uska nam Al Asnain rakha phir ek or din peda farmaya or uska nam Al Salaasa rakha phir ek or din peda farmaya or uska nam Al Arba rakha phir panchwain din ko peda farmaya or uska nam Al Khamis rakha

 yeni ye zaroori bhi nahi ke waqai in ayam ke nam ye hon qk israeli rawayat bhi to mojood hain.Quran me bhi Allah ne kai maqamat pe kainat ke 6 dinon me takhliq honay ka zikar farmaya, maslan Sura Hood me Allah ne irshad farmya:

"Wo Allah jis ne zamin o asman ko 6 din me takhliq kia" 

phir Sura Baqra me irshad e Baari Ta`ala he,  

"Allah wahi zat he jis ne zamin o asman or jo kuch unkay darmiyan he sab kuch 6 din me peda farmaya or phir apni shan ke mutabiq  arsh pe jalwa farosh hua"

Ab sawl ye uthta he ke ye to 6 kalmat hain satwan kahan se aya? is ka jawab bhi yahi nachiz day ga koi nam nihad amil nahin day sakta, to suniy:


Hazrat Abdullah Bin Abbas (R.A) se rawayat he ke yahood Ap (s.a.w.w) k pas ay or zamin o asman ki pedaish ke baray me sawal kia Ap s.a.w.w ne irshad farmaya ke Allah ne zamin or asman ko itwar or pir ke din peda farmaya or paharon ko bamuay unki madniyat or khazain ke mangal ke din peda farmaya, or darakht, pani, shaher, abaadiyan, wiran jaghain, ye sab budh ke din peda huin phir Ap S.A.W.W ne dalil ke tor pe ye ayat tilawat farmai:
"Kia tum us zat ka inkar karty ho jis ne zamin ko do din me banaya or tum us keliy shirka qaraar dety ho halanke wahi Rab ul Alamin he or us ne zamin ke ooper pahaar bana diy or is zamin ke andar nafaa bakhsh chizen rakhin, or isi zamin ke andar se logon ki ghizain muqarrar farmai or ye sab amal chaar din me mukamal hua"  Sura Ha Mim Sajdah Ayat9-10
Or silsla e kalam jari rakhty huy Ap S.A.W.W ne farmaya jumerat ke din Allah ne Asman ko peda farmaya or juma ke din sitary, suraj, chand or farishton ko peda farmaya yahan tak ke juma k din ki 3 ghariyan baqi reh gai thin phir in 3 ghariyon me se pehli ghari me logon ki umrain, or doosri ghari me aafaat o masaaib ko peda kia or teesri or akhri ghari me Adam A.S ko peda kia unko janat me rihahish ataa ki or Iblis ko sajda ka hukm dia inkar par usay janat se nikal dia gaya ye sab akhri ghari ke khatam tak hua, yahood kehny lagay ke phir kia hua? to Ap S.A.W.W ne farmaya phir Woh apni shan ke mutabiq arsh pe jalwa faroz hua, yahood ne kaha ke agar Ap ikhtitam sahi karty to apki bat darust qarar pati, or yahood ne kaha ke iskay baad Allah ne thak ke aram kia, Nabi Kareem S.A.W ye sun ke bahot ghazabnak huy or usi pe ye ayat nazil hui
"Bila shuba ham ne zamin o asman ko 6 din me peda farmaya or hamain zara bhi thakan na hui pas ap inki baton pe sabr karty rahain"  Sura ق ayat 38-39

 To ye he us satwain kalmay ki haqiqat, mohtarm ye satwan kalma yahood aqiday ke mutabiq us din ka nam he jis din Allah ne kainat banany ke baad thak ke Aram kia  Naooz Billah he min zalik. ye bat taslim shuda he ke abjid ka ye qaida qabal az islam yahoodiyon ke dor se hi chala aa raha he.
Quran o hadis ke in dalail ke bad bhi me janta hoon ke kuch log baz nahi ayen ge or jhat etraz karain ge ke nahi ji ye 7 ke 7 kalmay to musalman ulma ki ijad hain ye izafa yahood ne nahi kia, to aj ye bhi sbait karta chaloon ke ye abjid e qmri jis se amlin jafar ka kam lety hain islam se qabl ki chiz he saboot keliy ye hadis mulahiza ho,


Muhammad bin Is,haq bin Yasir R.A se rawayat he ke Aboo Yasir bin Akhtab yahoodi apnay chand sathiyon ke sath Ap S.A.W ke pas aya Ap S.A.W us waqt الم زالک الکتاب لا ریب فیہ ki tilawat farma rahay thay woh usay sun ke apny bhai Hayi bin Akhtab ke pas aya or kaha ke me ne aj Ap S.A.W ko is ayat ki tilawat karty huy suna he, woh poochta he tu ne khood suna he? wo bola haan me ne khood suna he, Hayi in sab yahoodiyon ko le k phir Ap S.A.W ke pas ata he or poochta he ke kia ye sach he ke Ap S.A.W abhi is ayat ki tlawat kar rahy thay? to Ap S.A.W.W ne irshad farmaya ke "haan ye sach he" us ny kaha suniy aj tak kisi bhi nabi ki nahi bataya gya ke unka mulk or unki hakoomat kab tak rahay gi magar apko bata diya gaya phir khara ho kar logon se kehnay laga, "Suno, alif ka adad hua ek, laam ke tees, or mim ke chalis, ye kul mila keikhatar banty hain, kia tum us nabi ki tabedari karna chahty ho jis ky mulk or umat ki mudat 71 bars he? phir Ap S.A.W.W ki taraf mutawaja ho ke poocha kia koi or bhi ayat esi he? Ap s.a.w.w ne farmaya han المص to woh kehnay laga ye baht bhari ayat he alif ka 1 lam k 30 mim ke 40 saad ke 90 ye mil ke 161 huy or poocha kia or bhi esi ayat he Ap s.a.w.w ne farmaya, الر kehny laga ye bhi bahot bhari or lambi he alif ka 1 laam ke 30 ra ke 200 jumla 231 bars huy, or kaha kia iskay sath koi or bhi esi he? to Ap s.a.w.w ne farmaya "Haan  المر" to bola ye to bahot hi bhaari he alif ka 1 laam ke 30 meem ke 40 or raa ke 200 sab mil ke 271 ho gay ab to kam mushkil ho gia or bat ghalt malat hogai logo utho, Aboo yasir ne apany bhai or doosray Yahood ulmaa se kaha ke ho skta he ke in sab majmooa haroof ke adad ki mudat Muhammad s.a.w.w ko mili ho? 71 ek, 161 ek, 231 ek,, 271 ek ye sab mil ke 734 baras huy, unhon ne kaha ke nahhin ab kam ghalat ho agya. 

Is rawayat se ye bat bakhoobi roshan hui ke haroof or uskay adaad islam se pehlay ke hain or is rawayat me lafz yahood ulmaa aya jis se ye bhi sabit hota he ke us waqt ke yahoodi almin isi abjid or inhi haroof se kam letay thay jo aj hamain aam amliat or jafr ki kitabon me miltay hain, or ye bhi pata chalta he ke jafar ke مستحسلہ se ghaib ki khabar nahin milti agar esa mumkin hota to yahood ki jafar or in adaad se ki hui peshgoi bhi shai hoti. yeni ye jo nam nihad amilin kehty hain ke ye madin ke badshon ke nam thay ya ibn e marra k beton ke nam ye safaid jhoot he, or do or kalmay akhaz kiyun kiy gay? uski wja amilin ye bataty hain  ke jafr me Torat  ki ayat ka istmal hota tha or torat abrani zaban me thi arab yahho arbi bolty thay or unki zaban me kuch harf zaid thay unhon ne wo is me dakhil kiy jesay  ث خ ذ ض غ  jesay hamari urdu zaban ke kuch haroof arbi me shamil nahin hain maslan ڈ گ ڑ پ isi tarah arbi ke bhi haroof thay jinhen shamil kia gaya magar ye haqiqat nahin haqiqat ye he ke yahood ne Allah ki shan me gustakhi ki jurat karty huy satwain din ki buniyad dali qk agar yahi haqiqat hoti to aj amilin urdu ke jo haroof nahin hain arbi me unka bhi koi kalma bana ke abjid me dakhil kar lety or ye bat to har amil taslim karta he ke ibtida me yahood jafaar sirf 6 kalmon se kam lety thay kash al barni ne bhi amil kamil me isi taraf ishara kia he, magar is sari bahes me raz or nukta ki bat kia he wo byan nahin karoon ga na hi quran e majid se muslman ulma ne jo adaad e nazooli akhaz kiy unki haqiqat bayan karoon ga qk ye blog to openly he or esay raz isi tarah sar e aam afsha nahin kiy jaty.
Apka or sawal tha ke NASMA kia he to mery bhai me ne apko iska jawab day dia tha ke ye ek soofiyana istilah he rooh ke baray me, maherhal apki maloomat keliy bata doon ke rooh ko ye log kai hison me divide karty hain or unkay inhon ne mukhtalif naam rakhy hain maslan rooh e hewani waghera or hamari rooh ke ek hisa ko ye nasma ka nam dety hain
 magar me iska qail nahin, 
sidhi khari or saf bat ap quran ya hadis se koi dalil lain to mjhay man,ny me etraz nahin warna haqiqat to wahi he jo Allah ne quran me bata di "ke woh tum se rooh ke baray me sawal karty hain keh do woh mery rab ke hukm se he"  
or agar ap ne ye blog complete parha hota to ap doobara ye sawal na karty 
jab Nabi Kareem s.a.w.w ne bhi rooh ki haqiqat bayan karny pe sakoot akhtiyar farmaya jab ahadis me khula or wazeh bata dia gaya ke Uska poora ilm sirf or sirf Allah ke pas he to kisi ki phlosphy rooh ko kesay hal kar sakti he? 
me ne ap se pehly bhi guzarish ki ke ap meri ray pe na chalain kisi bhi alim e din se pooch lain ke uski kia ray hay.  agar ap ne rooh ko smjhna he to Quran O Hadis se samjhain, or Allah ne quran me Hazrat Eesa A.S ko  Rooh Ullah kaha isi ki tafsir dekh lain kahin bhi.
Ek or sawal ap ne ghaliban rajaal ul ghaib ke baray me kia jisay ap ne raja-ul-gaib likh dia, rajal arbi zuban ka lafz he jisy ke meni mard ke hain, pehly sahi lafz to sikh lain.....mohtram amilin kehty hain ke ye khuda ke farishty hain or mukhtlif ayam me mukhtlif simton me hoty hain amal se pehly un pe salam bheja jay waghera or is ki azimatain bhi kai ek raij hain, ye bat bilkul darust he ke rajaal ul ghaib hain lekin woh kia hen kuch nahin kaha ja sakta iska istadlaal bhi quran se he baz Sahaba R.A ki ray me woh farishty hain baz ki ray me hawain.  lekin unka kisi khas din kisi khas simat me hona sabit nahin or aj ke amilin bahot se amilin is bat ke qail hain, Dr.Manshhor alam sidiqui ho gay misal ke tor par.
or ap ne sifat istakhraj karny ka bhi poocha to janab is ke kai tariqay marawaj hain or me ne kinds of ritual wali post me wazeh likha he agar ap ne jafr se amal karna he to ap ko in tamam qawanin ko follow karna hoga agar jafr se nahin karty or quranse amal karty hain to ye zaroori nahin, or mohtram koshish karain ke ek waqt me ek sawal poochain qk baz sawalat apkay nazdik to mehz ek sawal hi hoty hain magar unki haqiqat byan karny keliy ek daftar bhi nakafi hota he, me ne ye blog mehz hamzad ke ilm keliy banaya he yahan agar me jafr or doosray uloom ki bahes chair doon to hamzad pe post nahin kar paoon ga. han jab bhi me hamzad keliy jafr ka amal doon ga to uskeliy jo bat zaroori ho g woh me pesh kar doon ga.

UMMAR

Author & Editor

Astrologer, Spiritualist.